Monday, April 19, 2010

kal jab akela tha

kal jab akela tha
kucch azeeb sa lag rahr tha
main tanhai ko pad raha tha
apne aap se lad raha tha,
sayad tumhe yaad kar raha tha, kyunki
kal main akela tha,
wo baarish ki bunde aa rahi thi,
tere saath wali barish yaad aa rahi thi
jab hasi achanak aayi toh laga
ki
sayad tu bhi bahan muskurai
sochane laga kya karu khali
beathe-beathe
par main toh tumhare saath tha.
yaad aaye saare lamhe guzar diye jo
tumhare saath ki zindgi mein
yaad aaye achnak tum baad ki zindgi mein
main gum ho gaya
khuli palko ke saath najane kab so gaya
phir agle din subha uthke yaad karne laga
us waqt ko
kal jab main akela tha
us tanhai mein bhi ajab si baat thi
shayad wo hamari doosari mulakat thi.