Friday, June 5, 2009

Tum aur barsaat

Tumhe barish mein, maine bheegte dekha,
Duniya ki khubsurati se tumhe jeet te dekha,
Tumhare chahre par boonde aise
Moti chhote chhote, Kudrat ne diye ho,
Bas tumhe hi alag hoke

Tumhare baalo ka bheeg kar,chhota ho jana
Aur boondo ka inmein kahi kho jana.
Kaid karna tumhara boondo ko haantho mein
chhupa liya ho chand jaise
Amber ne raato mein

Tumhara jhatakna paani ko tan se aise
Kudrat ne Bichha ho,sitaaron ko zamin par jaise,
Tumhara muskurana aise ..
Sajaya ho satrangi indradhanush
khud indra ne jaise..

wo har lamha meri aankho mein
kaid ho gaya
us din ke baad baarish to aaj bhi
aati hai
par wo pyara sa anubhav kahin
kho gaya ...

3 comments:

Unknown said...

really good man... keep writing more poems...

Dr. Nishtha Tyagi Pachouri said...

HEYA! KOOL POEM...AWESOME.....CHEERS.....UR BORN TALENTED YARR...BUT KON HAI YE BARSAAT KA PYARR MMMM....WELL KEEP IT UP.....U'L GO A LONG WAY MAK'G ALL PROUD!!:-))GOD BLESS! AM IMPRESSED!!!

vivek j said...

@sankalp thanks a lot
@nishtha Thanks a lot aur barish wali ko hi pata hai ki wo kaun hai.........